Banjar Dharti Shushk Mausam Tapti Dhoop
Basant Main Bhee Patjhad Kaa Ahsas Yahi To Mila Hai Usay
To Kanto Bina Banta Kya
Sahlaya Nahi Kisi Ne Pyaar Se
To Chubhan Ke Siva Deta Kya
Kyun Ekk Se Nahi Niyam Srishti Ke Subke Liye?
Woh Zinda Hai Sirf Zinda Rehne Ke Liye
Kante Bhi Kahan Subki Kismat Main
Phulon Ki Tarah Murjhate Nahii
Apna Astitva Way Khote Nahii
Jivan Ki Suchchayion Ko Rangon Se Bahlate Nahii
Satya Ka Rang Hai Unme
Asliyat Ki Sughandh Hain
Tabhi To Itna Lubhate Hain Ye Cactus Mujhe