Band Muthi Ke Juganu Fir Se Chulbula Rahe Hain
Mere Pankh Aakash Kii Taraf Ude Jaa Rahe Hain
Khwaabo Kii Duniya Ajeeb Basati Hain Aankhon Mein
Wo Duniya Haqiqat Mein Bhii Sama Bana Rahe Hain
Yun To Kayi Baar Aise Pal Aaye Hain Is Jindagi Mein
Par Ye Pal Ajeeb Khushi Sang Laa Rahe Hain
Kashmash To Dil Mei Hazaro Hote Hi Hain
Kuchh Kashamash Kinaare Chalate Aa Rahe Hain
Daaman Me Mere Sambhaale Naa Sambhale
Aisi Khushi Par Pag Badhate Jaa Rahe Hain
Jhooma Rahi Lataaye, Jhoomata Huwa Pawan
Maano Meri Khushi Mei Ye Lay Bitha Rahe Hain
Phoolo Ki Mahak Ho Ya Chidiyo Ki Chahak
Dono Hi Sang Mere Meri Khushi Mana Rahe Hain
Dekho Naa Badal Bhi Mere Sang Khush Hokar
Sang Mere Khushi Ke Aalap Duhara Rahe Hain
Akeli Na Pad Jaaoon Kahi Is Khushi Ke Waqt
Bunde Mere Sang Kadam Mila Rahe Hain
Andhera Na Ho Mere Raaste Me Kahi
Bijaliya Umadkar Raasta Dikha Rahe Hain
Kya Kahe -ŗgarima- Khushi Khudki Jubaani
Har Pahaloo Jo Mere Sang Taal Mila Rahe Hain