Band Ho Chuki Aankhe Ajj Bhi Nihaarti Hain
Tab Se Khule Drawaze Ko Suni Padi Es Pagdandi Ko Aur
Khamos Kade Darkhaton Ko Magar Sab Khamos Hain Un
Aankho Ki Taraha Jo Band Ho Chuki Hain Magar
Aksar Khool Jati Hain Wo Aankhe Us Jaise Kadmo Ki Aahat Se
Sargaroshi Ki Sar’sarahat Se Ek Payari Si Ghabrahat Se
Aur Fir Dusre Lamhaat Men Khumari Se Band Hoti Wo Aankhe
Kiyonki Ab Ek Ajeeb Sa Nasha Yaadon Ke Sahare Chhaa Raha Hai
Baahen Failaye Wo Hamsfar Aa Raha Hai Dekho Kis Aada Se Sang Lye Ja Raha Hai..
Aur Fir Band Hoti Aankhe Ek Dusre Haseen Khawab Ko Sajane Ke Liye Samane Ke Liye