Bana Gulaab To Kaantay Chubhaa Gaya Ik Shakhs
Hua Chiraagh To Ghar Hi Jala Gaya Ik Shakhs
Main Kis Hawaa Mein Ur’on Kis Fizaa Mein Lehra’on
Dukhon Ke Jaal Har Ik Suu Bichaa Gaya Ik Shakhs
Tamaam Rang Mere Aur Saaray Khawaab Mere
Fasana Thay Ke Fasana Bana Gaya Ik Shakhs
Palat Sakon Bhi Na Aagay Hi Barh Sakon Jis Per
Mujhay Yeh Koun Se Raastay Laga Gaya Ik Shakhs
Mohabbatein Bhi Ajab Usi Ki Nafratein Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Mein Samaa Gaya Ik Shakhs
Woh Mahtaab Tha Marham Badast Aaya That
Magar Kuch Aur Sivaa Dil Dukhaa Gaya Ik Shakhs
Mohabaton Ne Kisi Ki Bhulaa Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm Ke Phir Yaad Aa Gaya Ik Shakhs