Bahut Door Hoon Par Tujhse Juda Nahi Hoon Main
Parchai Hoon Teri Par Phir Kyon Tere Saath Nahi Hoon Main?
Log Kahenge Ke Main Bedard Hoon, Khudgarz Hoon
Par Kya Sach Mein Tere Pyaar Ke Kaabil Nahi Hoon Main??.
Jo Mere Khwaabo Mein Socho Mein Khayalo Mein Hai Shaamil
Ussi Shaks Se Aaj Puchta Hoon.
Kya Tera Apna Nahi Hoon Main?
Kuch Jazbaat Dil Mein Aise Bhi The Jo Hamesha Se Chup Rahe
Par Aaj Unn Jazbaaton Ko Alfaz Mil Gaye Hai
Aaj Unn Jazbaaton Ka Karzdaar Nahi Hoon Main
Jo Mohabbat Ki Daastaan Khamoshiyon Se Guzre
Usme Bhi Bahut Dard Aur Jazba Hota Hai,
Har Panha Pad Liya Jaye,Aisi Koi Kitaab Nahi Hoon Main.
Kabhi-Kabhi Apne Likhe Hue Alfaaz Bhi Apne Hisse Ki
Zindagi Jee Lete Hai
Ab Koi Dil Mein Chupa Hua Ehsaas Nahi Hoon Main.
Jaanta Hoon, Aapne Bhi Kabhi Suni Hai Woh Dil Ki Pukaar Ko
Ab Yeh Na Kehna Ke Woh Awaaz Hi Nahi Hoon Main.
Har Ilzam, Har Shikwa “Khwaish” Seh Jayega Iss Jahan Mein
Bas Kabhi Yeh Na Kehna Ke Ab Tera Nahi Hoon Main.
“Khwaish” Naam Hone Ki Bhi Ek Wajeh Thi Is Dil Ke Paas
Par Aaj Baaki Koi Khwaish Nahi Hoon Main.