Baharhaal Jindagi Meri Naashad Ho Gayi,
Ishq Ki Rahon Mein Gujarkar Dekh Liya.
Dub Gaya Shau-E-Dil Kisi Ki Chahat Mein,
Gum-E-Dariya Mein “Majbuor” Utarkar Dekh Liya..
Mohabbat Ke Sadme Jindagi Mein Utar Gaye,
Hum Rah-E-Ishq Mein Had Se Gujar Gaye.
Ab Ahl-E-Dil Pe Kisi Ka Ikhtiyar Nahin ,
Wo Aur Honge Aashiq Jo Marne Se Dar Gaye.
Fasana Mera Banega To Naam Tera Aayega,
Kyaa Hua Gar Tere Ishq Mein Hum Mar Bhee Gaye.
Tagaful Karte Hi Gaye Wo Dil Se Mere,
Jo Jindagi Mein Mujhe “Majbur”Kar Gaye.
Mera Bhee To Dil Hai Patthar Nahin Hun Main,
Phir Bhee‚  Kyun Tere Pyaar Ke Kaabil Nahin Hun Main.
Khak-E-Jindagi Ab Punchhti Hai Humin Se,
Kyun Kisi Hansin Ka Humsafar Nahin Hun Main.
Gardish-E-Gum Se Sar-E-Rah Jo Chod De Ishq,
Wo To Gareeb-E-Musafir Nahin Hun Main.
Saza-E-Ishq Mujhe Manzoor Hai Gila Nahin,
Majbur Hun Magar Kaafir Nahin Hun Main