Bahar Se Dekhne Mein Woh Dariya To Nahi Thaa
Bheetar Se Kanhi Shaksh Woh Mujsa To Nahi Thaa
Tuta Jo Ghosla To Mere Aa Gaye Aansu
Usse Kanhi Mera Koi Rishta To Nahi Thaa
Woh Samne Aaya To Mere Ashk Bah Pade
U Usne Hal-E-Dil Mera Pucha To Nahi Thaa
Wo Ik Nadi Jo Barisho Me Sukh Gayi Thi
Seene Me Uske Durd Ka Sahra To Nahi Thaa
Ye Bat Aur Hai Ki Wo Patthar Ka Bana Thaa
Varna To Kam Use Chaha To Nahi Thaa
Kyun Bekhudi Me Usko Dhundhta Raha Aksar
Jo Khwab Me Mere Kabhi Aaya To Nahi Thaa
Logo Ne Muje Zahar Ka Pyala Bana Diya
Varna Main Shaksh Bevajah Aisa To Nahi Thaa