Badli Se Ek Chand Nikla
Kaale Badalon Se Bahar Jhakta Hua
Door Taron Ka Ek Jhoond Bikhara
Sharmaye Chand Ko Ishara Karta Hua
Taron Ki Jhagmag Roshni Tale
Chand Ka Kuch Hounsla Badha
Dhire Se Badalon Ke Paar Aaye
Kuch Sahamte, Kuch Houlein Houlein
Chand Ki Nirmal Chandani Me
Taron Ki Jhagmag Dhimee Huyee
Chand Jo Khud Andhere Me
Taron Ki Roshni Ko Dhundhata Raha
Doosron Ko Chand Sheetalta Dete
Roshni Ke Tap Ko Tarasta Raha
Koi Chand Ki Paribhasha Ko Samjhe
Kaise Wah Doosron Ko Puran Kare
Jab Khud Rahega Aadhura?