Bade Arse Ke Baad Yaad Aayi Woh Kahani Yaar Ki,
Na Jane Kahan Rakh Ke Bhool Gaye Woh Nisaani Yaar Ki
Muh Fer Ke Udhar Ko Idhar Ko Badha Ke Haath
Woh Jaam Ka Pilaanaa, Woh Be – Imaani Yaar Ki
Kabhi Dil Me Rakhte Kabhi Zindagi Kehte Hame,
Us Lamhe Ki Tamannaa, Woh Manmaani Yaar Ki
Kabhi Rooth Jaate Fir Maan Jaate Hame Aajmaate,
Woh Be-Hisaab Sikaayatein, Woh Naadaani Yaar Ki
Mehfil Me Uski Tirchee Nazar Ka Jaadu Sabkaa Imaan Hilaa De,
Woh Barf Se Dhanki Aag , Woh Jawaani Yaar Ki
Raah-E-Wafaa Dikhaakar Hame Humsafar Bataate,
Hai !!! Ree Meri Taqdeer Woh Kadardaani Yaar Ki
Woh Aise Gaye Ki Fir Na Laute Kya Baat Hui?
Kya Thi Woh Wajah, Woh Pareshaani Yaar Ki
Talaash-E-Kaza Hum The , Woh Hanste-Hanste Shikaar – E – Kaza Ho Gaye.
Aaj Humko Rula Rahi Hai Woh Kurbaani Yaar Ki
Mere Us Yaar Ki Hasti Baad – E Judaai Samajh Aayi,
Ek Baar Laut Ke Aa Jaye Badi Hogi Maherbaani Yaar Ki
Woh Do Khushi Ke Lamhe Hi The Aakhiri Nisaani Ae Khuda,
Le Ke Tamaam Umr Meri Lauta De Mujhe Woh Nisaani Yaar Ki
Waqt Abhi Nahi Hai Ae Khuda, Tujhe Roob Roo Sunayenge ,
Woh Pehli Aur Aakhiri Tamanna, Woh Kahani Yaar Ki
Bade Arse Ke Baad Yaad Aayi Woh Kahani Yaar Ki,
Na Jane Kahan Rakh Ke Bhool Gaye Woh Nisaani Yaar Ki