Badal Garajte Hain, Bijli Karakti Hain, Per Barish Nahi Hoti
Humko Aap Yaad Aa Rahein Hain Yeh Subha Kyu Nahi Hoti
So Jaongii! Iss Khayal Ke Baad Aur Naa Souchoongi Ub Mein
Per Aankhien Band Ker Ke Bhii Meri Neend Kyu Nahi Hoti
Mohabbat Di Mujhe Phir Juda Ker Diya Usko, Baqi Umar Deke Ruswa Ker Diya Mujhko
Jo Mein Mangti Hoon Mujhe Nahi Dega Woh Phir Iss Khuda Se Meri Dushmani Kyu Nahi Hoti
-ŗjaan- Kii Khabar Nahi Tufan Aa Raha Hain, Poora Sheher Yaha Se Waha Hou Gaya Hain
Hamara Sans Char Gaya Aapki Kheriyat Pooch Pooch Ker Aapko Hamari Khabar Lene Kii Parwa Kyu Nahi Hoti
Tanha Chalti Hoon Ub Mein Unhi Raston Per Jin Per Kul Aap The Saath Mere
Wohi Rahain Poochti Hain Aaj Mujhse Jis Shaqs Per Garv Kerti Thii Itna Unki Manzilien Ub Tere Saath Kyu Nahi Hoti
Aaj Kul Bari Ronak Hoti Hai Aap Ke Aas Paas, Uth-Te Beth-Te Hai Aap Apne Dost Yaron Ke Saath
In Bhari Bhari Mehefilo Mein Aapko Meri Kami Mehesoos Kyu Nahi Hoti
Her Roz Ghar Se Nikalti Hoon Yehi Armaan Liye Ke Kahin Tou Mera Chand Nazar Aa Jaye
Agar Aap Milna Chahte Tou Khud Aa Jate Meri Gali Akhir Aapko Meri Zaroorat Kyu Nahi Hoti
Dil To Aapki Amanat Hai Dhadakta Rahega Is Per Koi Zor Nahi
Aap Ko Tou Mil Jayegi Zindagi Aapki Per Meri Yeh Sansien Band Kyu Nahi Hoti
Ub Kuch Hi Lamhein Baqi Hai Chal Rahi Hai Jub Tuk Chalti Rahegi
Kabar Ko Kub Meri Zaroorat Parh Jaye Aapko Fikar Kyu Nahi Hoti
Aap Gila Karien Ya Khush Hou-Â…meri Jeet Aur Haar Pe Aap Ko Kuch Tou Hou
Hum Khush Hai Ya Afsada Aap Ko Hamari Halat Ki Qadar Kyu Nahi Hoti
Aap Ke Khwab Poore Hone Ki Aap Se Zyada Khushi Tou Hame Hoti Hai
Aapko Kabhi Hamari Jeet Per Khushi Kyu Nahi Hoti
Jhank Jhank Ker Dekhti Hoon Us Kamre Ki Khirkiyo Se
In Sunsan Galiyo Mein Kabhi Aya Kerte The Aap Is Raat Ke San-Nate Me Ub Unki Surat Kyu Nahi Hoti
Aap Nahi Hai Mere Paas Kaash Is Kaa Ehsaas Naa Ho Hum Tou Yeh Aas Le Ker Bethe Hai Ke Ub Shaam Na Ho
Mera Naam Sun Ker Aap Kii Shaam Kabhi Ghumgeen Kyu Nahi Hoti
-ŗEhsaas Ji- Unse Hum Pyar Kerte The Unhe To Iss Baat Per Yaqeen Bhi Nahi Per Aaj To Unke Deewane Hou Chuke Hai Hum
Pul Pul Barhti Hai Mohabbat Meri Yeh Tou Woh Jante Bhi Nahi Phir Akhir Yeh Chahat Meri Kum Kyu Nahi Hoti
Aap Ne Kya Bana Diya Hai Mohabbat Mein Mujhe Ub Zindaagii Bhar Bhoola Naa Paongi Mein Tumhe
Ay Bharam Se Chalne Waale Mujhe Barbaad Ker Ke Tumhe Taqleef Kyu Nahi Hoti