Bachpan Se Yovan Tak Mujhe Chalna Tha
Hanste Hanste Waqt Guzar The Chalna Tha
Zindagi Ka Safar Akele Samajna Tha
Hanste Hanste Zindagi Ke Kashmakash Se Ladna Tha
Sar Pe Chaat Nahi Aur Sahara Aapna Koi Na Tha
Hanste Hanste Zindagi Mein Dukhon Ka Samna Karna Tha
Mamta Ke Aanchal Mein Mujhe Sonaa Tha
Hanste Hanste Zindagi Mein Bachpan Ko Bhool Na Tha
Aankhon Mein Naye Khwab Mujhe Dekhna Tha
Hanste Hanste Zindagi Mein Dukhon Ka Aanth Karna Tha
Pathar Chube Paaon Mein Aur Dukh Ka Saaya Tha-Â…
Bhook Pyaas Se Ladte Jawani Par Kadam Rakha Tha
Aankhon Se Ashq Nikalte Rahe Par Sahara Kisi Ka Na Tha
Dukhon Ko Bhool Kar Zindagi Mein Khushiyan Sajana Tha