Bachpan Ke Wo Yaadgar Din
Jo Bekhabri Main Guzarte The
Na Zamane Ki Fikar Hoti Thi
Na Kisi Ka Dar Hota Tha
Sarmayae zindagi Hoti Thi Wo
Har Nai Subhah Nai Shararat
Har Nai Raat Naye Khuwab
Hansi Khushi Ki Wo Shamyein
Sab Ko Ghar Laotne Per Majboor Kertien They
Methi Methi Neend Sone Ke Liye
Wo Khilone Kharidna,Kahrid Ker Khelna
Tutne Per Un Ke Wo Shor Machana
Dubara Na Milne Per Ruth Jana
Kitne Haseen Pal The Wo
Magar Ab Dhundon Un Ko Kahan
Najane Kahan Wo Kho Gai
Merey Bachpan Ke Yaadgar Din
Meri Zindagi Ka Sarmaya The