Baat Jo Pehle Mo’atabar Na Hui
Aaj Kaise Woh Be Asar Na Hui
Usko Apni Har Ik Khushi De Di
Zindagii Phir Bhi Mukhtasar Na Hui
Maine Khud Ko Jalaa Jalaa Daalaa
Raushnee Jab Jahaan Jidhar Na Hui
Woh Miree Dharkanon Mein Kab Aaye
Mere Is Dil Ko Bhi Khabar Na Hui
Aisi Ujlat Mein Zindagii Guzri
‘Do Ghari Chain Se Basar Na Hui’
Jab Se Taareekiyon Ne Aa Ghaeraa
Mere Aangan Mein Phir Sahar Na Hui
Zeest Ka Meri Ban Gayaa Hissa
Justujuu Jiski Umr Bhar Na Hui
Aakhiri Uski Call Thi Shayad
Phir Kabhi Baat Bhul Kar Na Hui
Sunke Uski Wafaaon Ke Charche
Kaise Keh Dun Ki Chashm Tar Na Hui
Bhulne Ki ‘Shumaa’ilah’ Usko
Koi Tadbeer Kaargar Na Hui