Baat Din Ki Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera Barsaat Se Dar Lagta Hai
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai
Meri Khatir Na Wo Badnaam Kahein Ho Jaye
Iss Liye Un Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai
Ab Agar Aao To Jane Ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jatane Ke Liye Mat Aana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed Ki 100‚  Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Haseen Shamayen Bujhane Ke Liye Mat Aana
Pyar Ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon Ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane Ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne Ki Agar Tumko Nahi Chahat Koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane Ke Liye Mat Aana