Baaraha Gair Se Milte Huey Dekha Hai Tujhe
Husn Wale Teri Is Baat Mein Rusvai Hai
Bijliyaa Toot Padi Hai Dilemuztar Pe Rustam
Jab Bhi Tanhai Mein Mein Us Shokh Ki Yaad Aai Hai
Bojh Yaadon Ka Kabhi Dil Mein Agar Badta Hai To
Chand Ashkon Ko Hum Aankhon Se Gira Dete Hai
Tere Deedar Ki Hasrat Zaroor Hai Magar
Apni Hasraton Ko Hum Magar Ashkon Mein Baha Dete Hain
Mohabbat Ko Jatayege Bahoot Sa Chahne Wale
Magar Tum Aazma Lena Koi Humsa Nahin Hoga
Zikre Vafa Ab To Fasaanon Mein Rah Gaya
Iqraar Zar Ka Bhi Zabanon Mein Rah Gaya
Kahta Tha Zahan Bar Bar Apne Ghar Ko Chal
Mai Unke Sheeri Lab Ke Bahanon Mein Rah Gaya
Aankhon Se Kah Gaye Tum Ek Baat Raaz Ki
Main Dhadkanon Ko Dil Mein Dabane Mein Rah Gaya