Baadal Ki Unchaaiyon Ke Qareeb Kaheen Chaand Chupa Baitha Hai
Jameen Ki Gehraaiyon Mein Dur Kaheen Insaan Chupa Baitha Hai
Apne Chehre Per Samaaj Numa Naqaab Dale Hue
Sehma Sehma Sa Lagta Hai Bahar Kaise Niqle, Badla Badla Sa Lagta Hai
Ye Insaan Hai Andheron Ka, Roshni Se Draa Draa Rehta Hai,
Kaan To Hain Phir Bhee Behra Hai,
Aankh To Hai Phir Bhee Andha Hai,
Apne Ird-Gird Faile Samaaj Ke Daayre Ko Todna Chaahta Hai
Apne Raaste Apni Haqeeqat Se Jodna Chaahta Hai,
Haath Or Pair Salaamat Hain, Phir Bhee Apaahiz Hai,
Apne Dil Ki Aawaaz Sunta Nahi Hai, Wo He Kerta Hai Jo Jamaana Kehta Hai
Iss Duniya Mein Shaamil Hoker Bhee Wo Jraa Jraa Rehta Hai
Ye Insaan Hai Andheron Ka,Roshni Se Draa Draa Rehta Hai,
Jaane Kabse Apni Aazaadi Ki Aas Lagaaye Baitha Hai
Koi Aaker Saath Dega Ye Kayaash Lagaaye Baithaa Hai,
Rota Hai Akser, Magar Hansta Bhee Hai Kabhee Kabhee
Kabhee Apne Haal Per Kabhee Apne Sawaal Per Hairaan Ho Jaata Hai
Badaa He Bechaara Hai Ye Insaan Jo,
Duur Kaheen Jameen Ki Gehraaiyon Me Chupa Baitha Hai
Sab Kuch Paas Hoker Bhee Kuch Admarra Sa Rehta Hai ,
Ye Insaan Hai Andheron Ka,Roshni Se Draa Draa Rehta Hai