Azal Se Mohabbat Hai Maava Lafzon Ki Maala Se
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai
Mohabbat Soch Ke Aakash Par Baadal Ki Soorat Mein
Sada Parwaaz Karti Hai
Kabhi Baarish Ki Boondon Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par
Utarti Hai ikharti Hai
Ada Le Kar Saba Se Ye, Gulabon Se Mehek Le Kar
Dhanak Se Rang Le Kar Aur Sitaron Se Chamak Le Kar
Haseen Aanchal Banati Hai
Isi Aanchal Se Phir Khwabon Ke Kachhe Ghar Banati Hai
Mohabbat Aazmati Hai
Kabhi Ye Sher Bankar Lafz Ki Hurmat Badhati Hai
Kabhi Ye Saaz Bankar Dhire Dhire Gungunati Hai
Saraapa Aankh Ban Jaati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-E-Yaar Mein Jaa Kar
Na Jane Kaunsa Mantar Padh Kar Haule Haule Se
Kisiki Band Palkon Mein Bina Dastak Diye Ekdam
Utar Kar Ghar Banati Hai ohabbat Muskurati Hai
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanson Mein Hoti Hai
Bana De Chaand Tera Shab Ko Jo Ye Aisa Moti Hai
Kasak Hai Daayimi Is Mein Bahut Benaam Lazzat Hai
Mohabbt Ki Yehi Tareef Hai Ke
Yehi Mohabbat Hai