Aye Sanam Chahaton Ka Ye Qaafila Jaane Kis Mod Pe Le Aaya Mujhe
Har Qadam Par Thokarein Hai Ye Imtehaan Kahan Laaya Mujhe,
Ek Wo Manzar Tha Jab Teri Baahon Mein Khilte The Phool Armaano Ke,
Aaj Dilki Banjar Zameen Ne Sehraon Ka Manzar Dikhaya Mujhe,
Teri Saanson Ki Garmiyon Mein Pighal Jata Tha Wajood Mera,
Aaj Na Jaane Kyon Usi Tapish Ne Hi Jhulsaya Hai Mujhe,
Aisa Nahi Hai Ke Tujhse Koi Gila Hai Hamein Koi,
Gila Apni Kismat Se Jisne Har Mod Par Aazmaya Hai Mujhe,
Chahton Ki Daastan Tune To Bahut Sambhal Ke Rakhi Thi,
Uske Har Ek Waraq Ne Aaj Patthar Bana Diya Hai Mujhe,
Tune Deni Chahi Har Khushi Mujhe Phir Bhi Na Jaane Kyon,
Kuch Anchahe Khwaabone Rone Pe Majboor Kiya Hai Mujhe,
Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe,
Tera Har Gam Mujhse Ho Wabasta, Meri Har Hansi Ho Tujhme Shamil,
Tujhe Zara Si Chot Jo Lage, Chur Chur Kar De Teri Aah Mujhe,
Maangne Se Pehle Ho Har Khushi Tere Daaman Mein,
Bas Yehi Sila De De Khuda Meri Mohabbat Ka Mujhe,
Mere Naseeb Mein Likhi Hai Tanhaiyon Ki Chadar Shayad,
Tu Rahe Uski Baahon Mein Jo Khud Se Zyada Chahe Tujhe,
Meri Nadan Galtiyon Ki Shayad Yehi Sazayein Hogi,
Kar De Apni Zindagi Tere Naam, Aakhri Saans Tak Chahein Tujhe