Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa Dikhta Hain
Jitna Tu Khamoosh Hai Utna Tofan Tujh Main Hota Hain
Tu Maojo Main Basker Jazbo Ki Baatein Sunai
Teri Lehre Aake Aashiqo Ke Dil Main Uter Jai
Tu Mehboob Ka Raaz Tu Sabke Dil Ki Awaaz
Tu Thandi Maojo Main Se Chopai Apni Aag
Pani Ko Ugal Ker Tu Fir Bhi Pyasa Rhta Hai
Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa Dikhta Hai
Hawao Se Milker Tu Mela Lagaye
Tujhe Jo Bhi Dekhe Dil Se Chahe
Teri Ghrayi Na Koi Samjh Paye
Tere Paas Aaker Sab Gam Ko Bholaye
Kya Pata Unhe Tu Ander Kitna Rota Hai
Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa
Dikhta Hai Badlo Ke Gale Milker Bhi Akela Hai
Tu Tanha Bhut Hai Per Saath Tere Mela Hai
Maar Ke Pather Tujh Pe Log Toh Haste Hai
Un Pathro Se Bhi Tere Aur Rang Nikhrte Hai
Dard Tera Par Kaha Koi Samjhta Hai
Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa Dikhta Hai
Teri Lehre Kayee Raaste Dikhaye
Musafir Teri Kashti Se Apni Manzile Paye
Tu Deta Hi Jai Sab Ko Sahara
Tu Dobte Hoye Ko Bhi Deta Hai Kinara
Teri Her Maojo Se Aaye Ye Ishara
Jina Hai Uski Ka Naam Jo Sab Ke Liye Jita Hai
Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa Dikhta Hai
Tu Logo Ka Sakoon Tu Mhboob Ka Junoon
Mehfil Aisi Ho Teri Ke Mach Jai Dhoom
Tu Etna Hai Pyara Ke Aaye Sab Dobara
Dil Ko Lubhai Tera Her Ek Nazara
Tera Ayina Itna Saaf Ke Ismain Her Chaira Dikhta Hai
Tofano Ke Sager Main Rhna Wala
Tofano Se Lag Ke Gale Tu Rhne Wala
Khmoosh Sadaye De Tufano Ke Saaz Se
Hairaan Ham Ho Gai Tere Sare Raaz Se
Aye Samnder Ham Dono Ka Ek Rishta Hai
Jaisa Tera Haal Hai Wayesa Mera Hota Hai
Aye Samnder Tu Bilkul Mere Jaisa Dikhta Hai
Jitna Tu Khamoosh Hai Utna Tofan Tujh Main Hota Hai