Aye Musafir-E-Tanha Dekh Shaam Hone Waali Hain.
Jald Laut Kee Ghar Jaa Shaan Hone Waali Hain.
Baithne Lage Dekho Aakar Parinde Shakho^n Parr.
Dekh Raqs Pedon Kaa Shaam Hone Waali Hain
Aaj Paon Kee Neeche Koi Shai Zamee See Hain
Aaj Kya Ghazab Hoga , Shaam Hone Waali Hain
Ret Ke Samandar Me Ek Naaw Kaagaz Kee.
Kaise Sach Hoga Sapna , Shaam Hone Waali Hain
Jagmagaa Raha Hai Fir Aasma^n Chikho^n See
Aur Toota San-Nata Shaam Hone Waali Hain
Dhundh Ke Dareeche Bhi “Rumi” Band Hone Waale Hain.
Bhul Jaa Ke Kyaa Dekhaa , Shaam Hone Waali Hain.