Aye Khuda Hai Agar Teri Khudaii Me Itna Dum,
Toh Mitaade Humare Saare Ghum.
Naa Tod Humare Dil Ko Iss Kadar,
Ki Bebas Hokar Phirse Utha Na Paaye Hum Apne Kadam.
Kya Milta Hai Tuje Hume Yun Takleefen Deke?
Kyun Chheen Leta Hai Humari Khushi
Tu Pal Bhar Keliye Hume Khush Karke?
Zindagi Ke Har Mod Par Karwata Hai
Saamna Humara Naye Haadsonse,
Aur Har Haadse Se Kahin Na Kahin
Deta Hain Tu Hume Naye Zakham.
Jin Rishton Ki Lambee Umar Keliye
Hum Tere Paas Aake Dua Hai Maangte,
Jin Rishton Ko Zindagi Bhar Barkaraar
Rakhne Keliye Tere Aage Hain Sir Jukaate,
Unhi Rishton Ko Bedardise Raund Kar Tu Kyun Karta Hai Khatam?
Kyun Rulaata Hai Hume Tu Bhadhake Humare Ghum?
Kehte Hain Iss Duniya Me Sab Apni Marzi Ke Maalik Hain,
Par Teri Marzi Ke Aage Yahan Kiski Zeed Chali Hai?
Katputli Banake Apne Ishaaron Par Nachata Hai Tu Sabko,
Kyun Hume Zindagi Jeene Keliye Yun Majboor Karta Hai?
Ab Aadat Si Hone Lagi Hai Inn Ghamose Takraane Ki,
Thokkar Khake Phir Sambhal Jaaneki Geerenge-Sambhal Jaayenge,
Yunhi Dard-E-Ghum Hum Sahe Jaayenge,
Bas Ab Toh Ye Zeed Hai Humari Ki Tuje Hum,
Ghum Me Bhi Muskurate Hue Jee Kar Dikhlaayenge