Aurat Mujh Main Bhee Thi,
Haan,Dafnaa Di Thi Zinda
Meri Kahaani Ki Insaaniyat
Bhee Ho Jaayay Sharminda
Meray Khwaabon Ko Sul-E-Wehshat
Chraayaa Teray Ghar Kay Mardon Nay
Meri Majburi Ko Tamaashaa
Banaayaa Teray Ghar Kay Mardon Nay
Mainnay Bhee Thaa Mohabbat Ka Paak Chaman Basaayaa
Meri Hasrat Bhee Thi Ki Ho Koi Ik Mera Apnaa Sa Saayaa
Magar Pait Ki Bhukh Kay Sun Kar Naalay
Waheshi Aankhon Ka Sunharaa Bharam Khaayaa
Lay Gayaa Ye Mard Tera Dilaasaa
Day Kar Basti-E-Ghumnaam Main
Phir Aayaay Humdard Aur Kitnay,
Aashnaa Karaa Gayay Is Muqaam Say
Ab Her Raat Ki Dulhan Hun
Her Shub Nayaa Humbistar Hain
Ye To Buss Jaanay Hai Dil-E-Bismil Mera
Ki Roz Lubraiz-E- Zehar Nayaa Nashtar Hain
Tu Nasur-E-Tehzeeb Kahay Mujh Ko,Main Teri Hi Behan Hun
Buss Tu Rahi Kismet Ki Ameer,Main Wehshat Ki Rehan Hun
Daikhay Jo Aurat Mujhmain To Tu Sharminda Hogi
Aura A Jaayay Gar Ye Jazbaa Sub Main
To Shaayud Insaaniyut Zinda Hogi