Ashq Aankhon Mein Par Gira Nahi Yah To Wahi Baat Huyi
Aasmaan Pe Kaali Ghata Chaayi Aur Nahii Barsaat Huyi
Mahek Aati Thee Wafa Se, Chhod Ke Daaman Chali Gayii
Jaane Kya Kya Socha Hamne, Jaane Kya Kya Baat Huyi
Khwaab Mai Sang Rahi Mere Dil Kii Rahnuma Bankar..
Aankh Khuli To Shab-E-Tanhaayi, Nahi Mulaakaat Huyi..
(Shab-E-Tanhaayi: Tanhaayi Kii Raat, Raat Ka Akelapan)
Tanhaayi Kaa Safar, Naa Aaghaz Kaa Pata Naa Ant Kii Khabar
Khoye Yaadon Mai Is Kadar, Kab Din Dhala Kab Raat Huyi..
(Aaghaz: Suruaat, Starting)
Furqat Mai Kyun Rulaayegi Unhe Lab-E-Khaamoshi Meri
Char Kandhon Par Chalaa ‘Mayank’ Aisi Baaraat Huyii..
(Furqat: Judaayi, Lab-E-Khamoshi: Honton Ki Khamoshi)