Ashk Jab Deeda-E-Tarr Se Nikla
Ek Kaanta Sa Jigar Se Nikla
Phir Na Main Raat Gaye Tak Ghar Lauta
Doobti Shaam Jo Ghar Se Nikla
Ek Maiyat Ki Tarha Lagta Tha
Chaand Jab Qaid-E-Sehar Se Nikla
Mujhko Manzil Bhi Na Pehchan Saki
Main Keh Jab Gard-E-Safar Se Nikla
Haaye Duniya Ne Isse Ashk Kaha
Khoon Jo Zakhm-E-Nazar Se Nikla