Ashk Daaman Pe Girakar Pirote Hain Hum
Jakhm-E-Tanhai Mein Aksar Rote Hain Hum
Majbur Jab Na Sambhalti Hai Kasti-E-Jindagi
Gam-E-Jahaan Mein Ise Khoob Dubote Hain Hum
Saahil Nahin Chahiye Dubna Chahta Hun
Ek Nazar-E-Fareb Daalo, To Koi Baat Bane
Tasvir-Jigar Mitayen To Mitaye Kaise
Tujhe Ye Bewafa Bhulayen To Bhulayen Kaise
Gume-Afsana Mera Dard-E-Jigar Ban Gaya
Tujhe In Jakhmon Ko Dikhayen To Dikhayen Kaise
Mahrum-E-Jindagi Mein Jab Koi Rang Hi Nahin
Apne Armaano Mein Koi Rang Milayen To Milayen Kaise
Lut Gayi Ab Basti Mere Haseen Khwabon Ki
In Aankhon Mein Naye Khwab Sajaayen To Sajaayen Kaise
Jab Sard Ho Gayi Ho Lav-E-Aah Garm Sholon Se
Sanam-E-Jindagi Ko Bulayen To Bulayen Kaise
Jisko Zamaane Ki Chah Rahi Ho Badi Muddat Se
Mohabbat-E-Dastur Usko Sikhayen To Sikhayen Kaise
Ab Mumkin Yahi Hai Ke Jase Bhi Guzar Jaye Jindagi
Tabab-E-Ishq Ki Hum “Majboor” Dawa Paayen To Paayen Kaise