Ashaar Main Apne Zara Ibrat Ka Asar Rakh
Tu Apne Qalm Main Bhi Koi Ilmo Hunr Rakh
De Saath Zamane Ka Her Gaam Pe Laiken
Islaaf Ki Tarig Pe Bhi Apni Nazar Rakh
Noorani Tu Aamaal Se Kar Dil Ko Munawwar
Tu Taqat Tagoot Se Na Qulb Main Darr Rakh
Kar Ja Tu Bhalay Kaam Kuch Is Bahar-E-Fana Main
Tu Deen Ki Duniya Main Bhi Her Lahz-E-Khabar Rakh
Ques Sada Bachna Tu Taqabbur Se Khudara
Faraoon Ke Injaam Ko Malhooz-E-Nazar Rakh