Armaano Ka Karvaan Yu Hi Pyar Ke Path Par Gujrataa Raha
Phoolon Si Ladi Prem Ki Komal Raah Par Bus Chalta Hi Raha
Mudke Dekha Bhi Nahi, Na Dekhna Chaha, Na Hi Dekh Payaa
Kaun Kambakht Aajtak Is Raah Se Vaapas Sambhal Paaya

Pyar Ke Path Par Chalte Chalte Prem-Rog Ke Usul Sikhta Gaya
Unko Pane Ki Be-Tahasha Daud Me Kuchh Usul Sikh Na Payaa
Bachapan Me Padha Tha Aksar Phoole Ke Saath Hote Hai Kaante
Jawaani Ke Nashe Ki Madhoshi-Behoshi Main Ye Kaha Yaad Aate
Manzil Kareeb Hi Thi Aur Phoolo Si Patharili Raah Par Thokar Khane Lagaa
Pyar Main Dooba Deewaana,Kaise Phool Aur Patthar Main Fark Kar Paata
In Raah Pe Aaj Bhi Bina Soche Chaltaa Rahaa Hu Be-Khabar
Murdo Ko Kya , Chahe Raah Main Aaye Phool Ya Aaye Patthar.