Are! Yeh Kya Kartey Ho,
Sadak Paar Karne Kii Naadaani Karte Ho
Bhool Jaate Ho Kii
Yeh Dilli Kaa Raaj-Path Hain
Iss Per Guzarti Jo Gaadiyan Hain
Widhwa Ke Aansuon Kii Tarah
Kabhii Bannd Nahin Hoti
Jara Sii Gaflat Mein Kuchalkar
Aadmi Kabr Mein Sota Hain.
Marr Gaye Kuchal Gaye
Kahi Jo Tum Koi Nahin Rukk-Kar Jo
Aansoon Tum Par Bahaaye Yahan
Koi Nahi Ghaav Per Tumhare Jo
Marham Lagaye Yahan
Koi Nahin Maut Ki Tumhari Jo
Ghar Tak Khabar Bhi Pahunchaye Yahan
Isliye Ruko, Dekhkar Chalo
Naa Aankh Mein Paani Bharo
Niraash Naa Ho Garddan Matt Jhukaao
Insaan Ho Tum Sooraj Se Aankh Milaao
Waqt Woh Jald Aayega
Jab Yeh Raaj-Path
Jan-Path Mein Badal Jaayega.
Tab Tum Iss Sadak Ko Paar Karna
Ucchalna-Koodna,Hansna-Muskuraana
Chahe Tow Bistar Bichaakar So Jaana.
Aaj Lekin Dekhkar Chalo
Mere Bhai Bas Dekhkar Chalo