Are Meri Kismat Mujhe Tu Bakhash De,
Mere Pichhe Kyon Haath Dhokar Padi Hai
Ye Jab Bhi Hai Chaha Ki Pichhe Rahe Tu,
To Maine Ye Paya Tu Aage Khari Hai.

Jahan Bhi Gaya Main Tujhe Aage Paya,
Meri Jindagi Ki Tu Najuk Kari Hai,
Tu Chalti Nahin Hai Samay Ke Mutabik,
Badi Manchali Aur Chanchal Ghari Hai.
Jo Tujhse Ye Manga Mujhe Tu Khushi De,
Tu Aankhon Se Aansu Hi Bankar Jhari Hai,
Roye Chahe Kitna Koi Tere Aage,
Magar Ek Tu Hai, Adig Hai, Ari Hai.
Tera Aur Mehnat Ka Sang Hai Suhana,
Tu Mehnat Se Kyon Phir Hamesha Ladi Hai?
Are Maan Ja Ab Main Itna Kahoonga,
Na Mehnat Hai Chhoti Na Kismat Badi Hai.
Kabhi Jindagi Mein Khushi Hai To Logon,
Kabhi Jindagi Aansuon Mein Jadi Hai,
Kabhi Ye Hansaaye, Kabhi Ye Rulaaye,
Vidhata Ke Haathon Ki Adbhut Chhadi Hai.