Apni Zindgi Me Mujhko Panah De De…
Aagosh Me Chhupa Kar Mujhko Zannat De De..
Pyasi Hai Rooh Kab Se Teri Chahat Main..
Apne Labo Ki Chhuan Se Ise Khoobsurti De De..
Mar Na Jaoo Kahi.N Duniya Ke Keher Se…
Kayamat Aane Se Pehle Shaanon Ka Sahara De De..
Shaanon = Kandhe
Apni Zindgi Me Mujhko Panah De De…
Aagosh Me Chhupa Kar Mujhko Zannat De De..
Fitrat Hai Duniya Ki To Zeher Dene Ki…
Us-Se Pehle Tu Apne Haatho Se Rukhsat De De..
Fitrat = Aadat
Be-Rabt-O-Mutaa’ssif Umeedain Dubo Na De Kahi.N
Tu Mujhe Shub-E-Maahtaab Si Ranaaion De De..
Be-Rabt = Unfulfilled
Mutaa’ssif = Sorroful
Shub-E-Maahtaab = Full Moon Light
Ranaaion = Sunderta
Apne Maskan Apni Fasil Ka Sahara De De…
Aatish-E-Dozakh Me Jaane Se Pehle Abr-E-Baharen De De…
Maksan = Ghar
Fasil = Diware
Aatish-E-Dozakh = Fires Of Narak
Abr-E-Baharen = Clouds Of Spring