Apni Ye Muflisi Dil Lagaane Kii Izaajat Nahi Deti
Ekk Wo Hain Ke Aksar Raahon Mein Mil Jaate Hain,
Koi Samjhaaye Unko Ke, Apna Waqt Badal Lein Wo..
Ham To Unke Tay Waqt Ko, Nadarandaaz Naa Karpaate Hain,
Baat Patton Ki Chale Ya, Tehniyon Kii
Aakhir To Phoolon Pe Aa Hii Jaati Hain-Â…
Koi Samjaaye Unko Ke Phool Bhi Mehnge Ho Chale Hain ….
Ham Kisi Apne Ki Khaatir, Ye Saugaat Bhi Naa Juta Paate Hain,
Khwaab Ik Chhote Se Aashiyaane Ke Magar….
Unki Aankhon Me Bhi Bante-O-Sanwarte To Honge,
Koi Samjhaaye Ham Kachhuvon Ki Chaal Chalne Waalon Ke
Makaan Ban.Ne Me.Umron Ke Faasley Ban Jaate Hain,
Laakh Daryadil Ho Ye Samandar Chaahe-Â…
Wo Machchhliyaan Isme Marr Hi Jaati Hain,
Jinhe Nadiyon Ke Paani Kii Aadat Ho-Â…
Wo Khaare Paani Mei Kahaan Jee Paate Hain,
Koi Samjhaaye Unko..Ke Dil To Apna Bhi Dhadakta Hai Lekin
Is Dil Ke Dhadakne Ki Keemat-Â…ham Ada Na Kar Paate Hain,
Koi Samjaaye Unhe Ke-Â…kisi Or Se Dil Lagaaein Wo-Â…
Hame Raahon Me Nazar Na Aaein Wo-Â….
Hamko Dekhkar Na Muskuraaein Wo-Â…
Ham Aadmi Jaraa Seedhe Saade Se Hain-Â…
Do Waqt Ki Roti Ki Fikar Chhod Kar-Â…
Unke Khayaalon Mei Kho Jaate Hain