Apni Hi Sanso Se Chipa Kar
Kuch Sunne Ke Liye Bede Hai
Dil Mai Ek Hansi Ki Awaj Hai
Ya Meri Kalpna Ke Pankh Hai
Jo Kahin Door Udna Chate Hai
Shishe Ke Bhitar Qad Hai Ki
Kabhi Koi Ayega Aur Is Qad Se
Is Akelepan Se Door Kar Dega
Kya Tumne Apne Liye Yeh Awaj Suni?
Khuli Hava Mai Khilti Hui Muskuraht Ko
Kyon Band Kamre Mai Qad Kar Diya
Garmi Se Bhari Raton Mai
Sardi Se Bhari Raton Mai
Yeh Khinchi Hui Rekhayen
Mujhse Ek Khel Khelti Hai
Yeh Parchahiyan Picha Nahi Chodti
Ek Kalpna Hai Ek Yaad Hai
Samye In Bato Ko Vyarth Nai Jane
Deta Ek Madhur Kalpna Kabhi Kahin
Kisi Ke Kaam Aa Jaye
To Ankho Ke Agey-Piche Nachti
Tasviron Ko Thoda Aram Aa Jaye