Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaaney De
Tera Mujrim Hoon Mujhey Doob Ke Mur Jaaney De
Aankh Milney Sey Hur Aik Raaz Bikhar Jaata Hai
Bhaid Khul Jaatey Hain Palkon Ko Jhukaaey Rakhna
Ghalat Gumaan Na Kar Meri Khushk Aankhon Par
Samandaron Mein Jazeerey Zaroor Miltey Hain
Mein Tou Aansoo Hoon Kissi Roz Dhalak Jaaoon Ga
Toou Mujhey Ankh Ke Saahil Pe Sajaata Kiyon Hai
Hur Koi Ro Ke Dikhaaey Yeh Zaroori Tou Nahin
Khushk Aankhon Mein Bhi Sailaab Hua Kartey Hain
Ab Tou Aankhon Mein Samaati Nahin Soorat Koi
Ghaur Sey Mein Ne Tujhey Kaash Na Dekha Hota
Be-Taab Kar Gai Mujhey Jaadoo Bhari Nigaah
Mein Unn Ke‚  Dekhney‚  Ki Ada Dekhta Raha
Saabit Hua Ke Mujh Sey Mohabbat Nahin Rahi
Woh Shakhs Mujh Ko Dekh Ke Aankhein Chura Gaya
Woh Aaj Kiss Ghazab Ki Banaawat Sey Aaey Thay
Meri Taraf Tha Rukh Magar Nazrein Churaaey Thay
Palkein Bhi Chamak Uthti Hain Sotay Mein Humaari
Aankhon Ko Abhi Khawaab Chhupaaney Nahin Aatay
Aankhein Jhuki Jhuki Hai Tou Chehray Pe Noor Hai
Zaalim Ki Saadgi Mein Bhi Kitna Ghuroor Hai
Nigaahein Tou Buhut Milti Hain Aksar Husn Waalon Sey
Magar Rona Tou Iss Ka Hai Ke Dil Sey Dil Nahin Milta
Aankh Pe Farz Hai Hur Waqt Sawaali Rehna
Iss Ko Sajta Hi Nahin Ashk Sey Khaali Rehna
Laakh Mein Khaana Kharabon Ki Tarha Rehta Hoon
Par Kissi Aankh Mein Khoaabon Ki Tarha Rehta Hoon
Jaati Hai Kissi Jheel Ki Gehraai Kahaan Tak
Aankhon Mein Teri Doob Ke Dekhain Gey Kisi Din