Apne Maazi-O-Tanhai Se Raghbat Si Ho Chali Hai
Hausla-E-Zabt-E-Sitam Ki Aadat Si Ho Chali Hai
Tez Nakhunon Ki Khalish Se Dete Hain Sukoon Dil Ko
Yaa Khuda Hamein Khud Se Mohabbat Si Ho Chali Hai
Hasrat Phut Phut Kar Rone Ki, Yeh Aas Muskurane Ki
Maqaam-E-Yaas Se Yaaro Hamein Ulfat Si Ho Chali Hai
Na Barq Na Shabnam, Na Dhadhkan Mein Rahi Halchal
Tajub Hai Kyun Unki Haalat, Meri Surat Si Ho Chali Hai
Unko Zabt-E-Junun Sahi, Main Sabr Se Khaarij Sahi
Phir Dil Ko Dil Se Churana Kyun Aafat Si Ho Chali Hai
Kisi Vaade Pe Marr Jana, Naye Zakhmon Pe Hans Dena,
‘Paras’ Teri Be-Hayaai Bhi Qudrat Si Ho Chali Hai