Apne Hi Sawaloan Se Pareshan Hun
Apne Hi Jawaboan Se Anjaan Hun
Koi To Dikha De Rasta Aa Kar
Mein Apni Hi Zindagi Ke Imthian Mein Hun
Jaaun To Jaaun Kahan Koi Manzil Meri Nahi
Tanha Hai Saare Raste Koi Saathi Bhi Mera Nahi
Phul Khilaaye The Jo Kabhi
Ab Un Ke Kaanto Ko Chun Rahi Hun
Jalaye The Jo Deep Kushi Ke Kabhi
Aaj Us Ki Lau Ko Dhund Rahi Hun
Ab To Aye Khudha
Is Zindagi-A-Imthian Ko Khatam Kar
Aa Kar Meri Halat Par Jara Gaur Kar
Tarse Hue Is Dil Ko Jara Khamosh Kar