Apne Hi Saath Kiye Waadon Se
Khud Ko Mushkil Se Bachata Koi,
Apne Badrang Se Hote Sachh Ko
Adna Jhoothon Se Sajata Hai Koi,
Yoonto Ik Umr Hui Ye Sunte-Sunte
Badi -Ë—paak-‘ Si Shey Hai Mohobbat Yaaron,
Apne Is Paak Se Zajbe Ko Bhi
Paap Ki Tarha Chhupata Hai Koi,
Kisi Ek Dil Me Thodi Si Jageh Paane Ko
Or Darmiyaan Ye Nazdikiyaan Barhane Ko,
Sachi Or Jhhoothi Jamaane Bhar Ki
Kahaaniyaan Jaane Kitni Hi, Banata Hai Koi,
Roj Jeeta Hai Koi Mar-Mar Kar
Hausla Phir Bhi Koi Isko Batata Hi Nahi,
Rui Ke Phool Se Bhi Naazuk Hai Kisi Ka Rishta
Us Ek Rishte Ko Chhune Se, Ghabrata Hai Koi,
Yaar Kehte Hain Ke Is Din To Jataao Chaahat
Is Tarah Khud Ko Bhala Satata Hai Koi,
Wo Chaand Kehta Ke Taareek Me Kya Rak.Kha Hai
Or Kuchh Is Tarah Se Khud Ko Hi Behlaata Hai Koi?