Apne Dil Ki Udasi Ko Chhupa Loo To Kucchh Aur Kahoo..
Apne Lafzo Se Zazbaato Ko Behla Loo To Kucchh Aur Kahoo..
Apni Sanso Se Teri Khushboo Ko Hata Loo To Kuchh Aur Kahoo..
Dhoop Teekhi Hai Zindgi Ko

Chhaav Ki Yaad Dila Doo…To Kuchh Aur Kahoo..
Kate Huai Pankho Se Behta Hai Aaj Bhi Lahoo…
Ye Kasak Seene Se Mita Loo To Kuchh Aur Kahoo..
Chandni Raate Kaise Tadpati Hai, Rulati Hai,
Armano Ka Ghoongat Hatati Hai…Sawan Bulati Hai..
Apni Bahoo.N Me Inhe Bhar Kar Chhupa Loo…To Kuchh Aur Kahoo..
Vaqt Kuch Khushiya To De-De Jholi Me..
Suraj Tapish Ke Badle Kucchh Roshni To De..
Chand Bhi Koi Thandak Ka Ehsas To De..
‘O’ Zindgi Tu Kuchh Aaraam De To..Kuchh Aur Kahoo..
Narm Haatho Ne Jise Paala Tha…
Us Pyar Bhare Dil Ki Kahi Chhav Mile..
Jinke Khawabo …Jinki Ankho K Taare The Ham
Vo Aa Ker Dekhe Zara Ham Kitne Mayoos Hai Is Zindgi Se..
Kabhi In Chhaalo Ki Dava Vo Kare To Kuchh Aur Kahoo….
Apne Aatho Ki Lakiro Me Sajaya Unhone..
Agar Kismat Bhi Sazate To Kuchh Aur Kahoo..
Janm De To Diya Ham Badkismato Ko…
Hamari Khushiyo Ko Bhi Janmaate To Kuchh Aur Kahooo