Apne Bhaiyaa Ko Sataati Hui
Ruthe Jo Kabhii , Manaati Hui
Har Bhaa-‘ii Ki Khwaahish Bas Yahi Hai
Rahe Behanaa Sadaa Muskuraati Hui
Wo Ladaa’ii Wo Mastiyaan
Wo Chhoti Chhoti Khushiyaan
Kaisey Bhulaaye Hum Wo..
Behanaa Ki Pyaari Si Akhiyaan
Apne Bhaiyaa Ko Bhagaati Hu’ii..
Dante Jo Kabhii , Chillati Hu’ii
Har Bhaa’ii Ki Khwaahish Bas Yahi Hai..
Rahe Behanaa Sadaa Muskuraati Hu’ii
Wo Jooth Muuth Kaa Ronaa…
Aur Bhaiya Kii Choclates Lenaa
Khaa Gaye Bhaiyaa Chocolates..
Fir Papa Sey Jaake Ye Kehnaa
Apne Bhaiyaa Ko Hasaati Hu’ii..
Khushiyon Ke Aansu Dilaati Hu’ii
Har Bhaa’ii Ki Khwaahish Bas Yahi Hai..
Rahe Behanaa Sadaa Muskuraati Hu’ii
Wo Raakhi Ke Kuch Din Se Pehle..
Apni Khaas Maange Rakhanaa
Fir Bole Bhaiya Kuch Nahin Chaahiye..
Bas Aap Yuunhi Muskuraate Rehanaa
Apne Bhaiyaa Ko Chidhaati Hu’ii..
Raakhi Kaa Rishtaa Nibhaati Hu’ii
Har Bhaa’ii Ki Khwaahish Bas Yahi Hai..
Rahe Behanaa Sadaa Muskuraati Hu’ii