Apne Ash’aar Ham Khud Ko Hi Sunaa Letey Hain
Chaandnii Raat Akeley Hi Manaa Letey Hain
Khoobsoorat Sahi Ham Chaand Ke Mohtaaj Nahiin
Tiirgii Ko Bhi Kalejey Sey Lagaa Letey Hain
Koi Gustaakh Havaa Jab Akar Ke Chaltii Hai
Khirkiyaan Khol Kar Ik Shamma Jalaa Letey Hain
Oob Jaatey Hain Jab Baadal Ki Meharbaani Sey
Ham Nasheman Mein Bijliyon Ko Bulaa Letey Hain
Dost Aatey Hain Jab Haathon Mein Sang Le-Le Kar
Shisha-E-Dil Ko Hathelii Pe Sajaa Letey Hain
Ham Zamaane Se Khush Nahiin Na Zamaanaa Hamse
Jahaan Jaate Hain Alag Raah Banaa Letey Hain
Sabr Kar Dil! Yahaan Kuchh Aur Bhi Hain Aise Jo
Apne Qaatil Ka Kabhii Naam Nahiin Letey Hain
Wo Bhi Insaan Hain, O Mahal Mein Rahne Waalo!
Jashn-O-Maatam Jo Binaa Chhat Ke Manaa Lete Hain
Kabhi Do Ashk Bahaa Le Dil-E-Naadaan! Too Bhi
Chhup Ke Zulmat Mein To Maghroor Bhi Ro Letey Hain