Apnay Hi Haath Main Apni Khudi Laikar
Na Tokray Khao Tum Dar Badar
Kal Tak Tu Soochtha Tha Asmaanu Ka
Aaj Tu Apni Zameen May Ho Gaya Bayghar
Kis Ki Lagi Nazar Ya Bad Doa Tujay
Koi Baqi Raha Na Tera Humsafar
Kabhi Jo Aathi Umeed Ki Kiran Bi
Ab To Barso Say Wo Aati Nahee Nazar
Kis Cheez Nay Ghafil Kiya Tujay Itna
Kay Istighna May Bhee Aaya Tum Pa Faqar
Rkabi Wo Hidery Qowat Jo Thi Tum May
Kahan Gayay Wo Umr Aur Ali Haider
Usay Bhee Ihtiaj Hi Asbaab Ki Aaj
Jis Qom Kaliay Tah Her Arra Pur Asar
Jo Khatm Karday Andhairo Ko Ai Maray Maula
Day Hum Ko Kamrani Ka Aisa Hi Ik Sahar