Anthawan Saal Ke Baad Bhi Aaj Hum Hain Ghulam,
Beta Pita Ko Dad Kehta Mataji Ko Mom.
Aadat Si Pad Gayi Hai Hum Ko Ghulami Kii Subah Saam,
Subah Uth Kar Good Morning Kehte Bhool Gaye Pranam.
Pehle Baron Ke Pair Chute Aur Karte Namaskar,
Kahan Gaya Wo Bharat Kaa Pehle Wala Sanskar.
Saharwalon Ki Baat Choriye Achuta Nahi Hai Gaun,
Bhool Gaye Sanskar Sabhi Chuta Nahi Koi Paun.
Angrez Gaye,Par Chor Gaye Apni Sanskriti Aur Bhasha,
Sab Ke Mann Me Jor Marti Angrez Ban Ne Ki Abhilasha.
Tab Kaise Poori Hogi Baapu Ke Mann Ki Aasha,
Charon Taraf Dikhayi Deti Hindi Ke Prati Nirasha.
Aaj Hume Paschimi Deshon Kaa Pasand Aa Raha Pehnawa,
Pashchimi Deson Kii Sankriti,Bhasha Ko Kil Raha Badhawa.
Kis Balbute Pe Hum Kar Sakte Hain Aisa Dawa,
Hindi Humari Rajbhasha Hai,Isme Nahi Chalawa.
Jab Tak Hum Hindime Nahi Karya Sabhi Apnayenge,
Swatantra Hokar Bhi Ghulam Kehlayenge.
Jab Hum Apne Tan Mein Se Hindi Ko Apnayenge,
Tabhi Wastavme Swatantra Aur Shudh Bhartiya Kehlayenge.