Anjaani Raahon Pe Jab Chala Tha Main
Koi Nahi Tha Mera Bilkul Akela Tha Main
Din Guzarte Gaye Log Milte Gaye
Raatein Kat Ti Gayi Yaari Badti Gayi
Rishte Badhne Lage Armaan Judne Lage
Girne Ke Darr Se Anjaan Ham Udne Lage
Bhool Ke Khud Ko Logo Ke Ho Chale
Sapne Bhi Apne Kahi Door Kho Chale
Pahunchaate Rahe Sab Ko Manzilon Pe
Apni Hi Manzil Kahi Kho Gayi
Dekhte Hi Dekhte Yeh Duniya Saari
Maano Dushman Hamari Ho Gayi
Rooth Gayi Sab Khushiyan Uth Gayi Sab Mehfile
Reh Gaye Ham Tanha Bichhad Gaye Sab Kaafile
Magar Na Jaane Kyu Jee Rahe Hai
Jaane Kiski Talaash Hai
Bas Kuch Beeti Hui Yaadon Ke Siva
Kuch Bhi Nahi Hamare Paas Hai
Bas Kar Raha Hun Nazar Apke Kuch Shabad Apne
Yehi Meri Kahani Yehi Mera Itehaas Hai
Yehi Meri Kahani Yehi Mera Itehaas Hai