Andhere Shehar Ki Sabse Oonchi Cchat Se
Dikhtey Hain Aapas Mein Takratey Saaye
Door Tak Bikhri Roshniyaan Sunayee Deti Hain
Ulajhti Zindagi Ki Awaazein Mehsoos Hota Hai
Ek Thattharaata Samjhauta Aur Subah Tak Hoti Rehti Hai
Naye Sangarsh Ki Tayaariyaan Har Baar Pehle Se Adhik
Shiqan Aur Gussey Ki Garmaahat Ke Saath Ugta Hai Sooraj
Aur Tab Chubti Hai Dhoop Jab Tak Shyaam Ko Paschim Se
Aag Ka Gola Roti Nahin Ban Jaata