Akser Sochta Hon Qalam Se Apni Mohabbat Ki Kahani Likhon
Jab Kabhi Likhne Ki Kosish Kerta Hon
Kalam Aur Dil Mera Sath Nahi Detey
Na Jane Kyun Dono Hi Mujhe Shikast De Detey Hain
Hazaron Lamhe Sekron Batain Kayi Arman Kayi Tanha Shamain
Jab Kabhi Likhne Ki Koshish Kerta Hon
Kalam In Bataon Ko Zinda Hone Nahi Deta
Mere Peheli Mohabat Meri Peheli Shikast
Ke Afsaney Mere Sapne Aur Tumhari Yadain
Jo Mere Dil Mien Kahin Khoye Howe Hain
Kalam In Afsanoo Ko Kisi Ke Samne Ane Nahi Deta
Acha Hi Hai Ke Yeh Dastan Abb Tak Mere Dil Mien Dafan Hai
Agar In Afsanoo Ko Kagazon Per Likh Don Tu Jane Kya Hojaye
Darta Hon Kahin Pardne Wala Na Khojaye
Agar Humhari Dastan Dunia K Samne Ajaye
Agar Mere Bebasi Tumhari Majbori Samne Ajaye
Parne Walon K Khayalon Ko Bhi Humhara Khayal Ajaye
Is Leye Acha Hai Yeh Dastan-E-Mohabat Humhari Chahat Ke Afsane
Kahin Andheyron Mien Kho Jaye