Aksar Yun Dekha Hai Humne
Teri Aankhon Ki Bagiya Mein
Koi Aandheri Raat Mein Aayi
Dhul Se Ladpat Ek Purwaayi

Aur Tum Ho Ki Is Gham Ko
Sindoor Bana Kar Ghoom Rahi Ho
Jab Yeh Pucha Usse Humne
Uske Honthon Par Nazuk Si
Ek Sehmi Si Muskaan Thi Aayi
Mere Sawaal Ki Tabdiil Ke Badle
Usne Bhi Istefsaar Mein Mujhse
Aapne Dil Ki Baat Bataayi
“Qaraabat Kehte Hai Kuch Isko
Nazuk Se Kuch Hai Aise Marasim
Tum Bhi Jaanoge Tab Isko
Bikhrenge Aakhon Ke Tilism”
Uski Aisi Baat Mein Jaane
Meri Jaise Neend Jaagayi
Khwab Tha Shayad Khwab Hi Hoga
Lekin Is Ek Khwab Mein Usne
Kitni Raaton Ki Yaad Dilayi
Yaad Hai Mujhko Aab Tak Logo
Jo Rhegistan Mein Raat Bitayi