Aksar Mere Apne Ye Shikaayat Dohrate Hain
Ke Ham Unhe Apne Se Nazar Nahi Aate Hain,
Kuch To Mulaqatein Barhao..
Ham Ko Jaano Aapneaap Ko Batlaao,
Ab Kya Kahein Ke Ham Keise Hain
Or Keise Nazar Aate Hain,
Ye Nazdikiyaan Kai Baar Faasle Or Barha Deti Hain
Bas Yahi Sochkar Ham, Kuch Dur Nikal Jaate Hain,
Kai Baar Eisa Bhi Hota Hai Jab Ham
Apne Saaye Se Bhi Katraate Hain,
Is Bepanah Bheed Se Bachne Ke Khaatir
Kaheen Wiranon Mein Chale Jaate Hain,
Mujhse Nazdikiyaan Barhane Ke Khaatir
Wo Mujhe Wahaan Bhi Khoj Lete Hain,
Ye Phone Wahaan Bhi Baj Uthta Hai lekin
Ham Hi Shaayad, -Ë—Silent Mode-‘ Per Chale Jaate Hain,
Ghar Mein Aaine Nahi Kya Tumhaare Ey Dil
Log Aksar Ye Zumle Dohraate Hain,
Kasur In Bikhri Julfon Ka Nahi, Ey Doston
Dar-Asal -Ë—aainon Se Nazrein-‘, Ham Kam Hi Milate Hain,
Har Koi Kehta Hai-Â….Aage Barho..Kuchh Karo
Sach To Ye Hai Ke Sochta Bahut Hai Ye Chaand,
Or Isi Gehri Soch Ke Chalte Aksar
Apne Iraade-‘ Dhundhle Pad Jaate Hain.