Aksar Dekha Karta Hoon.N Waqt Ko Nanhe Haath Failaate
Dilli Ki Lal Battiyon.N Par Yeh Kabhi Kabhi
Saal Main Do-Char Baar Tirange Jhande Ko Bechkar Bhi
Do-Waqt Ki Roti Ka Jugad Karta Dikh Jata Hai..
Auir Kabhi Fate Cheethdon.N Main.N
Lipta To Kabhi Foothpath Se Chipta
Dikh Hi Jata Hai
Ek-Din To Mere Kareeb Aakar Bola Babu Ji Bas Ek-Rupya De Do..
Do-Din Se Kuchh Khaya Nahin.N Kabhi Kishi Din Yeh..
Shani Ban Jata Hai Tham Leta Hai..
Sarson.N Ke Tel Se Bhara Ek Katora Apne Hathon Main…
Auir Nikal Padta Haib Hame.N Shani Ke Shap Se
Mukt Karne Yeh Hamesha Chalta Rahta Hai
Kabhi Thakta Bhi Nahi.N Esake Sone Auir Jaagne Ka Bhi
Koi Hisaab Nahin Rakhta Shayad Yeh Hamesha Aisa Hi Chalega..
Yeh Akshar Dikhega Kahin..Kisi Bhi Lal Batti Par..
Auir Hum Tamashbin Bane. Dur Khade…
Es Waqt Ko Bhi Sirf Aate Jaate Hi Dekhte Rahenge.N
Log Kahte Hain.N Waqt Ke Saath Shayad
Sab Kuchh Badal Jata Hai Par Yeh Waqt Kabhi Nahin Badala