Akhir Kya Hai Ye Tanhai
Bahut Kuchh Sochne Per Kar Deti Hai Majboor
Yaade Leti Hain Angdaayi..
Ek Arse Ke Baad,Jab Hoti Hai Sirf Tanhaayi,
Sabhi Galtiyon Ka Hota Hai Ehsaas
Sirf Kuchh Puraane Nagme..
Kuchh Anubhav Hote Hain Paas…
Bahut Kareeb Se Dekhta Hai..
Dil Kisi Ajnabi Ko
Gehraayi Se Parakhta Hai
Tab Ehsaas Karwaati Hai Ye Tanhaayi
Ki Kis Raah Per Ja Rahe Ho
Manjil Bahut Door Hai…
Raah Se Bhatak Waqt Gawaa Rahe Ho..
Kya Bharosa Hai Jindgi Ka…
Kab Kahaan Thehar Jaaye..
Kab Subhe Se Sahar Ho Jaaye..
Aur Aakhir Jaag Uthta Hai Mann
Ek Nai Ummeed Se
Adaaa Karta Hai Shukr “Tanhaayi ” Ka
Jisne Khaaamosh Lehro Ko Nayi Tarang Di
Bhatke Dil Ko Nayi Umang Di…
Gehre Andhere Si “Tanhaayi”
Aur De Jaati Hai Ek Nayiii”Subhe” Ka Ehsaas