Akhir Kab Aaoge Tum Meri Akhon Ki Parat Mein
Lal, Hara, Neela Or Bahut Se Rango Ko
Bharne Ke Liy Baari- Baari Aa Jao Laotkar Tum
Mein Akeli Padchuki Hun Apne Ghar Mein
Apne Hi Sehar Mein Meri Khidki Ke Pardey Bi
Berang Hokar Udhadney Lage Hein Ek-Ek Dhage Mei Silvaten
Ghum Rahi Hei Or Gir Rahi Hei Zameen Mein.
Kiya Mei Ye Samajlun Ki Humare Ristey Ki Dor Bi Isi
Pardey Ka Dhaaga Bankar Gir Rahi Hei Zameen Mein Or
Lipt Hote Ja Rahi Hei Ye Dor Dhirey Dhirey.