Akhir Aisa Kab Tak Chalata Rahe Ga
Kabhi i Socha Hain Tum Ne
Kai Aise Bhii Hain Beemar Bhaware
Tumhare Ghar Bhii Hamare Ghar Bhii
Jo Halat Kii Uljhanon Main Ulajh Jate Hain
Or Zindaagi Se Bezar Ho Kar Mout Ko Gale Lagate Hain
Akhir Aisa Kab Tak Chalta Rahe Ga??
Nayi Naveli Dulhanain Jo Hathon Per Mahndi Or
Palkon Per Khwab Sajati Hain..
Jhandon Main Lipti Lashon Per..
Kiyon Pet Ti Hain Bain Sunati Hain
Kiyon Jete Ji Mar Jati Hain..
Lashain Un Jwanon Ki Jin Per Garm Hain Bohat
Tum Ko Bhii Or Ham Ko Bhii..
Woh Jawaan Apni Umer Ke Pahle Hisse Main..
Kiyon Mitti Main Mil Jate Hain..
Akhir Aisa Kab Tak Chalta Rahe Ga..
Main Dekhta Hon Apni Galiyon Main
Kayi Aise Anath Bache..
Jo Kore K Dheron Per Palte Hain
June Kii Tappti Garmi Main..
Jalti Sarkon Per Nange Paon Chalte Hain
Jise Janwar Bhi Chor Jate Hain..
Woh Aisi Roti Khate Hain ,Or Pait Ki Aag Bujhate Hain
Akhir Aisa Kab Tak Chalta Rahe Ga??
Kabhi Socha Bhi Hay Kitne Kam Zarf Hain Ham
Kabhi Socha Nahin Kabhi Samjha Nahin
K Yeh Khail Kaisa Hay Siyasat Kaa..
Yah Khail Main Kaisi Siyasat Hay..
Chalo Tum Hi Btao Kiya Bhol Jana Insaf Hay Yaroo
Un Borhon Ko Un Bacho Ko..
Un Dulhanon Ko Un Jwanon Ko
Jo Is Khail Ki Nazar Ho Jate Hain..
Ham Urate Hain Karoron Hwaon Main
Yeh Bhoke Hi So Jate Hain..
Tum Agni Per Man Karte Ho
Ham Shaheen Pe Khush Ho Jate Hain
Akhir Aisa Kab Tak Chalta Rahe Ga
Ik Akhri Umeed Ki Hay Yeh Kiran
Ik Akhri Diya Mohbat Ka..
Chalo Ao Ham Donon Milkar Jlate Hain..
Kuch Samjhota Tum Kar Lo
Kuch Dosti Ham Nibhate Hain..
Ik Kadam Tum Uthao To
Ham Bahain Apni Barhate Hain
Thamte Hain Us Borhe Ko,,
Bache Ko Gale Lgate Hain
Is Nayi Naveli Dulhan Ki Bhi…
Chalo Phir Se Mang Sajate Hain..
Chalo Ao Bhol Kar Sab Guzra Hwa..
Ham Dosti Kaa Hath Milate Hain..
Warna Kabhi Socha Hain Tum Ne…
Akhir Aisa Kab Tak Chalta Rahe Ga